Tuesday, August 3, 2021

JADU KI HAQEEQAT AUR ILAAJ

Jadu ki Haqeeqat:

Jadu Quran se sabit hai aur kai aik maqamaat par iss kaa tazkira maujood hai. Jadu kaa inkaar karna goya Quran ki ayaat ka inkaar hai. Hazrat Mosa (A.S) aur Firown ke waqiat main aur Hazrat Sulaiman (A.S) ke waqiat main kasrat se iss ka tazkira moujood hai.

Kuch Ayat ka reference neechay dia gaya hai.

 

Surah Baqarah: Ayat number 102

Surah Younas: Ayat number 77

Surah Younas: Ayat number 81 & 82

Surah Taha: Ayat number 67, 68 & 69

 

Jadu kia hai?

Kisi par shaitani amliyat ki madad se jinnat, Churail, Hamzad, Bhoot, Asaib yaa kisi aur shaitani taqat ko musallat karna Jadu kehlata hai. Aur inn shaitani amliyat ke karnay walay ko Jadugar kehtay hain.

 

Jadu ka Maqsad:

Kyuke Jadu main kisi par jinnat ya shayateen ko musallat kia jata hai aur unka wahid maqsad kisi insaan ko takleef pohanchana hai.

 

Jadu ki Qismain:

 Jadu ki bohat si aqsaam hain jaisa ke neechay bayan ki gai hain.

 

  1. Mian biwi main Jhagra aur fasaad kerwana
  2. Kisi ko La-ilaaj bemari main mubtala karna
  3. Karobar ko tabah karna
  4. Dimaghi taur par maflooj karna
  5. Kisi main Depression, Mayoosi, bezaari paida karna
  6. Allah ki yaad se door karna
  7. Shaadi aur rishton main rukawat Dalna
  8. Ghar main fasaad dalna
  9. Roz Marra ke kamon main rukawat dalna
  10. Jismani aur Rohani taur par kamzor karna
  11. Jisam main dard paida karna
  12. Zehan main har waqt ganday khayalaat ka aana
  13. Kisi ke dil main najaiz mohabbat daalna
  14. Kisi ko Be-intiha dar aur khauf main mubtala karna

 

Jadu ke Mareez ki tashkhees:

Jadu ke mareez ki tashkees aik aham marhala hai. Kyuke sahi tashkhees se hi sahi ilaaj mumkin hai.

Tashkhees ke do tareeqay neechay bayan kiye gaye hain.

 

Alamaat ke Zariye Tashkhees:

Agar kisi main neechay bayan ki gai alamaat payi jati hain to uss par jadu kay asraat hain.

 

Khawab main Ishara:

Agar neechay bayan kiye gaye khawab main se koi khawab aap baar baar dekhain to yeh Jadu ki taraf Ishara hai.

  1. Khawab main khud ko kisi gandi jaga pe dekhna, ganday paani main khara dekhna, Pakhana dekhna.
  2. Khawab main Saanp yaa Bicchu dekhna, kalay kuttay yaa billi ko dekhna
  3. Khud ko bulandi se girtay huay dekhna
  4. Khawab main gum ho jana yaa raasta bhatak jana  

 

Quran se Tashkhees:

Surah Fatiha       7 times

Ayatul Kursi        7 times

Surah Falaq         7 times

Surah Naas         7 times

Yeh tamam Qurani Soratain Awwal Aakhir 11 times Durood e Ibrahimi ke saath parh kar paani par dum kar ke Mareez ko pilayein.

Agar paani ka zaiqa karwa mehsoos ho to Jadu ke asraat hain.

 

Jadu ka Ilaaj:

  1. Subah Fajar ki namaz ke baad 4th Kalma 100 times parh ke haathon pe dum karay aur pooray jisam par haath phair lay yeh amal 41 din ka hai (Awwal Aakhir Durood Shareef 11 times parhay)
  2. Surah Baqarah ki tilawat karay yaa sunay rozana 41 din tak 

No comments:

Post a Comment

ONLINE ISTIKHARA AND ROHANI ILAAJ

  FOR FREE ONLINE ISTIKHARA AND SPIRITUAL TREATMENT CONTACT ON MY WHATSAPP NUMBER  استخارہ اور روحا نی علاج کے لیے میرے واٹس ایپ نمبر پر راب...