POETRY BY MODERN DARVAISH

SABZ NAZAM

Dua karo ke mere watan main Bahar e sabz aye

                     Dil sabz, Nigah sabz..Dahan sabz sukhan sabz


Ho jayein sabz rang sabhi ujray huay shajar

                  Aisa charhay yeh rang ke phir sada rahain woh sabz


Issi sabz rang main hain rang sabhi hayat ke

                    Iss liye rangon main hamain pasand hai sabz


Sabz hilali parcham apna..daim rahay buland

                   Daim rahay abaad watan, daim rahay yeh sabz


Sabz soch ke chashmay phootain, moattar rahain khayal

                    Sabz Gunbad se nisbat apni..rooh bhi apni sabz




ROOH KI GEHRAI

Tum Utar Gaye Ho Meri Rooh Ki Gehrai Mein

Kaisay Mumkin Ho Tumhain Khud Se Juda Karna


Tu Mera Khwab Hai Tujhay Dekhta Hoon Roz-o-Shab

Meray Bus Mein Kahan Tujhko Haqeeqat Karna


Tum To Khaatir Mein Nahi Latay Meray Dil Ki Tarap Ko

Meray Jazbaat Ko Na Yun Sajan Ruswa Karna


Tumhari Soch Ko Taghayyur Hai Badaltay Mosam Se

Meri Chahat Ko Apni Soch Ka Mehwar Karna


Chor Baithay Ho...Zabt Ka Daman Shayad

Gar Aisa Hai.... To Ab Hargiz Na Aisa Karna


Mizaj-e-Darvaish Ko Samajhna Zara Mushkil Hai

Iss Kaam Mein Na Waqt Apna Zaya Karna


ZULF KA PEHRA

Har Rah Pe Tha Pehra Unka Jata To Kidhar Jata

Teri Zulfon Ke Daam Main Na Ata To Kidhar Jata


Teri Mohabbat Ne Rehnumai Ki Dewangi Tak

Jo Na Tere Qadmon Ke Nishan Pata To Kidhar Jata


Kaha Tum Ne, Dewanay ho to Girebaan Chaak Karo

Hukm-e-Janab Tha,  Na Baja Laata to Kidhar Jata


Aik Dard Hi To Woh Saathi Hai, Na Chora Jiss Ne Daman Mera

Usse Bhi Na Seenay Se Lagata To Kidhar Jata


Safar-E-Ishq Ke Sehra Main Lagi Thi Usko Piyas

Khoon-E-Jigar Na Pilata To Kidhar Jata


Kitna Yaqeen Tha Usse Darvaish Ki Parhezgaari Par

Daagh-E-Dil Jo Dikhata To Kidhar Jata


BE SABAB

Kuch to hai jo badlay hain tevar unkay

Talkhi e Mizaj Janan yunhi be sabab nahi


Jalata hon khoon apna teri yaad ke diyye main

roshan shab e hijran yunhi be sabab nahi


Tere gham se hui hai mere zehan ki namu

Filbadeeh sukhanwari yunhi be sabab nahi


Pehlay bhi kho chuka hon azizan e jaan o dil

Iztirab e tabiyat yunhi be sabab nahi


woh door nahi ussay hi dekhta hon har dum

bahar e chashm e bayaban yunhi be sabab nahi


Kabhi tola kabhi masha, kabhi sehra kabhi darya

Mutaghayyar ahwal e Darvaish yunhi be sabab nahi


Mehboob ka Khail

Hamain Khail se nikaal kar poochtay hain woh....

Ke jeet ke imkaan kitnay hain...

Qatil ke Haath main dain Jo apnay haath se churi....
 
Bata to sahi insaan kitnay hain...

Khoon e jigar pilayeingay Mashroob main unko......

Tu bus yeh bata mehmaan kitnay hain...

Kaleja cheer ke poochtay hain ke khoon kahan hai......

Hamain jalanay wale anjaan kitnay hain....

Pohanch kar aflaak par jo neechay dekhtay hain.......

Woh banday Rehman ke nadaan kitnay hain...

Darvaish iss dil se aaj phir ik baar pooch.....

Jo bachay hain iss main, Armaan kitnay hain…


Rasm-e-Dunya


Abhi rawaan hai rasm dil tornay ki  .... 

Namak zakhmon pe badastoor dala ja raha hai


 Dil ke kisi konay main muqeem ik bhalay manas ko....

Majboor kia ja raha hai, nikala jaa raha hai...


Khoon se likhi hui tehreeron ko...

Pamaal kia Ja raha hai, uchala jaa raha hai...


Zindagi ik fareb main kat rahi hai

Raat ho rahi hai ujala ja raha hai....









2 comments:

ONLINE ISTIKHARA AND ROHANI ILAAJ

  FOR FREE ONLINE ISTIKHARA AND SPIRITUAL TREATMENT CONTACT ON MY WHATSAPP NUMBER  استخارہ اور روحا نی علاج کے لیے میرے واٹس ایپ نمبر پر راب...