Jadu ki Haqeeqat: Jadu Quran se sabit hai aur kai aik maqamaat par iss kaa tazkira maujood hai. Jadu kaa inkaar karna goya Quran ki ayaat ka inkaar hai. Hazrat Mosa (A.S) aur Firown ke waqiat main aur Hazrat Sulaiman (A.S) ke waqiat main kasrat se iss ka tazkira moujood hai. Kuch Ayat ka reference neechay dia gaya hai. Surah Baqarah: Ayat number 102 Surah Younas: Ayat number 77 Surah Younas: Ayat number 81 & 82 Surah Taha: Ayat number 67, 68 & 69 Jadu kia hai? Kisi par shaitani amliyat ki madad se jinnat, Churail, Hamzad, Bhoot, Asaib yaa kisi aur shaitani taqat ko musallat karna Jadu kehlata hai. Aur inn shaitani amliyat ke karnay walay ko Jadugar kehtay hain. Jadu ka Maqsad: Kyuke Jadu main kisi par jinnat ya shayateen ko musallat kia jata hai aur unka wahid maqsad kisi insaan ko takleef pohanchana hai. Jadu ki Qismain: Jadu ki bohat si aqsaam hain jaisa ke neechay bayan ki gai hain. Mian biwi main Jhagra aur fasaad kerwana Kisi ko La-ilaaj bemari main mubtala karn