ROHANI ILAAJ KA TAREEQA
Rohani ILaaj ka Tareeqa:
Ghar se Jinnat yaa Shayateen ko bhaganay ke Liye:
Surah Baqarah ki tilawat 41 din tak chalai jaye. Iss main
koi nagha nahi hona chaheye. Ghar se har qisam ke jinnati aur shaitani asraat
khatam ho jayeingay Insha-Allah. Dinon ki tadad maslay ki shiddat ke aitbaar se
barhai ya ghatai jaa sakti hai. Agar masla mamooli hai to 21 din bhi kaafi hain.
Lekin agar masla ki shiddat ziada hai to phir tadad 41 Din ya phir iss se ziada
bhi barhai jaa sakti hai. Mushahday main yehi aya hai kay 41 Din main Allah ke
Fazal se har tarah ka masla hal ho jata hai.
Kisi Shakhs par Jadu ya Jinnati Asrat Ke Liye:
- Surah Baqarah ki tilawat Rozana Sunena behad mufeed aur akseer hai.
- Iss ke saath Fajar ki namaz ke baad 4th Kalma 100 times Awwal Akhir Durood Shareef ke saath parhay aur haathon pe dum kar ke pooray jisam par phair lay. 21 yaa 41 din main har qisam ka masla hal ho jaye ga Insha-Allah.
Comments
Post a Comment