JADU KI HAQEEQAT AUR ILAAJ
Jadu ki Haqeeqat:
Jadu Quran se sabit hai aur kai aik maqamaat par iss kaa
tazkira maujood hai. Jadu kaa inkaar karna goya Quran ki ayaat ka inkaar hai.
Hazrat Mosa (A.S) aur Firown ke waqiat main aur Hazrat Sulaiman (A.S) ke waqiat
main kasrat se iss ka tazkira moujood hai.
Kuch Ayat ka reference neechay dia gaya hai.
Surah Baqarah: Ayat number 102
Surah Younas: Ayat number 77
Surah Younas: Ayat number 81 & 82
Surah Taha: Ayat number 67, 68 & 69
Jadu kia hai?
Kisi par shaitani amliyat ki madad se jinnat, Churail, Hamzad,
Bhoot, Asaib yaa kisi aur shaitani taqat ko musallat karna Jadu kehlata hai.
Aur inn shaitani amliyat ke karnay walay ko Jadugar kehtay hain.
Jadu ka Maqsad:
Kyuke Jadu main kisi par jinnat ya shayateen ko musallat kia
jata hai aur unka wahid maqsad kisi insaan ko takleef pohanchana hai.
Jadu ki Qismain:
Jadu ki bohat si aqsaam
hain jaisa ke neechay bayan ki gai hain.
- Mian biwi main Jhagra aur fasaad kerwana
- Kisi ko La-ilaaj bemari main mubtala karna
- Karobar ko tabah karna
- Dimaghi taur par maflooj karna
- Kisi main Depression, Mayoosi, bezaari paida karna
- Allah ki yaad se door karna
- Shaadi aur rishton main rukawat Dalna
- Ghar main fasaad dalna
- Roz Marra ke kamon main rukawat dalna
- Jismani aur Rohani taur par kamzor karna
- Jisam main dard paida karna
- Zehan main har waqt ganday khayalaat ka aana
- Kisi ke dil main najaiz mohabbat daalna
- Kisi ko Be-intiha dar aur khauf main mubtala karna
Jadu ke Mareez ki tashkhees:
Jadu ke mareez ki tashkees aik aham marhala hai. Kyuke sahi
tashkhees se hi sahi ilaaj mumkin hai.
Tashkhees ke do tareeqay neechay bayan kiye gaye hain.
Alamaat ke Zariye Tashkhees:
Agar kisi main neechay bayan ki gai alamaat payi jati hain
to uss par jadu kay asraat hain.
Khawab main Ishara:
Agar neechay bayan kiye gaye khawab main se koi khawab aap baar
baar dekhain to yeh Jadu ki taraf Ishara hai.
- Khawab main khud ko kisi gandi jaga pe dekhna, ganday paani main khara dekhna, Pakhana dekhna.
- Khawab main Saanp yaa Bicchu dekhna, kalay kuttay yaa billi ko dekhna
- Khud ko bulandi se girtay huay dekhna
- Khawab main gum ho jana yaa raasta bhatak jana
Quran se Tashkhees:
Surah Fatiha 7
times
Ayatul Kursi 7
times
Surah Falaq 7
times
Surah Naas 7
times
Yeh tamam Qurani Soratain Awwal Aakhir 11 times Durood e Ibrahimi ke saath parh kar paani par
dum kar ke Mareez ko pilayein.
Agar paani ka zaiqa karwa mehsoos ho to Jadu ke asraat hain.
Jadu ka Ilaaj:
- Subah Fajar ki namaz ke baad 4th Kalma 100 times parh ke haathon pe dum karay aur pooray jisam par haath phair lay yeh amal 41 din ka hai (Awwal Aakhir Durood Shareef 11 times parhay)
- Surah Baqarah ki tilawat karay yaa sunay rozana 41 din tak
Comments
Post a Comment